Ghazal – Set 11 – 2017

Comprehensive collection of General Ghazal. The compilation includes some good quality text messages which can be shared on various messenger apps and social network platforms. Browse through nice repository of General Ghazal with latest and new Shayari being added quite often. You will find some new, unique & interesting Shayari and messages. Explore best and rare collection of General Ghazal here, select any text from the wide range and share or send using mobile. Apart from General Ghazal, the collection also includes Shayari in other categories.

#1

Aiy Tez Hawa Naraaz Na Ho Is Dil Mein Salaamat Hai Ab Tak Wo Shokhi-a-Lab, Wo Aks-a-Hina So Baar Jisay Chooma Ham Ne So Baar Purastish Ki Jis Ki Is Dil Mein Salaamat Hai Ab Tak Wo Gard-a-Alam Wo Deeda-a-Nam Ham Jis Mein Chupaa Kar Rakhtay Thay Tasveer Bikharti Yaadon Ki Zanjeer Pighaltay Waadon Ki Poonji Naakam Iraadon Ki Aiy Tez Hawaa Naraaz Na Ho Is Dil Mein Salaamat Hai Ab Tak Samaan Bicharti Saa-at Ki Kuch Tukray Garam Dopehron Ke Kuch Rezay Naram Sawaalon Ke Kuch Dar Anmol Khayaalon Ke Ik Jhoota Roop Haqeeqat Ka Ik Sachaaaaa Lafz Mohabbat Ka

—– —
#2

AGER POOCHA KE MUJH SE KAAM KIA, HAI KIA KAHOONGA MAIN KAHA ISS KAAM KA ANJAAM KIA HAI, KIA KAHOONGA MAIN MUJHE PEHCHAAN’NAY SE USS NE GER INKAAR KER DAALA AGER POOCHA KE TERA NAAM KIA HAI, KIA KAHOONGA MAIN PAYAAMI BAN KE JAON MAIN BICHHARNAY KA, TO KIA LOON AGER POOCHA TERA PAIGHAAM KIA HAI, KIA KAHOONGA MAIN KHUSHI KA DIN KISAY KEHTAY HAIN MAIN YE TO BATA DOONGA AGER POOCHA GHAMON KI SHAAM KIA HAI KIA KAHOONGA MAIN MAIN USS KE MUUN PE USS KO BEWAFA KEHNAY KO TO KEH DOON AGER POOCHA TERA ANJAAM KIA HAI, KIA KAHOONGA MAIN ADEEM USS KO BURA KEHNA MUJHE ACHA NAHI LAGTA AGER POOCHA TERA ILZAAM KIA HAI, KIA KAHOONGA MAIN

—– —
#3

kash ka woh yeh jan lay mujhy oss sat mohabat hay Kash k woh yeh jan ly mujhy oss say muhabbat hay kash hoti mery dil ke zuban to bol dayta woo k my oss say kitna piyar karta hoo ossi ko sochta rahta hoo ossi k khyaloo my khoya sa rahta hoo oss kee yaad my yu din apna guzar dyta hoo naa jeeta hoo naa martaa hoo mgr darta hoo k kahe woh yeh sab sunty he mujh say door naa ho jayee mujh say rooth na jayee is dar say my ossy kuch kah naa pao ga mgr oss k bina rah b na paoo gaa Kash k woh yeh jan ly mujhy oss say muhabbat hay

—– —
#4

Magroor hi sahi mujhe achcha bahot laga wo ajnabi to tha magar apna bahot laga rootha hua tha hans to pada mujh ko dekhkar mujh ko to iss qadar bhi dilaasa bahot laga sehra mein jee raha tha jo dariya-dili ke saath dekha jo gaur se to wo pyaasa bahot laga wo jis ke dum-qadam se theen basti ki raunkein basti ujad gaee to akela bahot laga lipta hua ho jaise kuhar mein jaise khizaan ka chand maile libaas mein bhi wo pyaara bahot laga resham pehan ke bhi meri qeemat na badh saki khaddar bhi uss ke jism pe mehnga bahot laga Mohsin jab aaeene pe meri saans jamm gaee mujh ko khud apna aks bhi dundhla bahot laga.

—– —
#5

Teri koshish teri tabeer hona chahta hoon Main tere hath ki tehreer hona chahta hoon Tu mery paas aaye aur palat k na jaye Main tery paon ki zanzeer hona cahahta hoon Mujhy haajt nahi dusro k mashwaron ki Main khud sahib-e-taqdeer hona chahta hoon Azal say khawab bankar teri aankhon main rha hoon Main ab sharminda-e- tabeer hona chahta hoon Is liye masmaar khud ko kar raha hoon Main tery hath say tameer hona chahta hoon.

—– —
#6

Na SOchna K Zamanay Say dArr Gye hUm Bhii Teri Talash Mein GhairOn Kay Ghar Gye hUm Bhii Chura Lien hUm Say Bhi Is KhUd-Prast Nay Aankhien Dil Habeeb Say Aakhir Utar Gye hUm Bhii wO SangDil Hii JaffaaOn Say hO Gya Taaiyb Katanay jAb Dar Qatl Par Sar Gye hUm Bhii PaSeeja Dil Na Kisii Ka hUmaray AshkOn Say Har AaStaaN Pay Liye Chashm e Tarr Gye hUm Bhii jO Dekha KaliyOn Ko tUjh Par NiSaar hOtay hOye tO Rang Ban Kay Fizza Mein BiKhar Gye hUm Bhii jAb Is Kay zOaq e NAzar Ka hUaa bOhet CharCha WafOor e ShOq Say Ik Din Sanwar Gye hUm Bhii bOhet Say Ishq Kii RaahOn Mein Pull-Saraat Aaye Kisi Ka Naam Liya Aur Guzar Gye hUm Bhii mUhaal Tha K hUm Aey ‘Josh’ Zinda Reh Saktay Firaaq e Yaar Mein Aik rOz Mar Gye hUm Bhii

—– —
#7

Aik Din to Yeh anhoni ho .!!!! In jalty dinoo or raaton may Main sochta rhta hoon akser Aik din to youn anhoni ho Bay musaam barish ho jaye In sooti jaagti galioo may Woh shaks salona mil jaye Ata tha jo kabhi khawabo may Bichra tha Jo kabhi rahon may Mhtaab nma woh chehra tha Haan daag-e-judaai gehra tha Aik din to yeh anhoni ho Main us ko dhoondnay niklon to Rastay may khera woh mil jaye Aik dard sa dil may dar aye

—– —
#8

Bohot masroof rehtay ho.! Bohot masroof rehtay ho.. Subha say shaam honay tak.. Koi lamha naheen milta.. Koi bay-naam si fursat.. Koi gum-naam si seerat.. Kabhi baithay hoey tanha.. Kaheen jo shaam ho jaaey.. To mairi iltija hay yeh.. Koi lamha chura laina.. Jo mairay naam ho jaaey..!!!

—– —
#9

SUNO SIRF AIK BAAR Tum nay bichharna hai So bichhroo bgahir ankh num kiye Laykin ! Ek ehad mujh say ab kerlo K meray sath guzaray howay mah-o-saal Main koye ek lumha ayesa ho ga Jub tum meray juzboun ki sachaye per emaan laye thhey Tu sajen betaay howay ! Es ek lumhay ki padash main Tum mujhko ‘YAAD RAKHNA’ Akhri Sans tak

—– —
#10

Kyun itni shidat say yad ati ho tum Hanesta houn tu khushi ban jati ho Sochta hoon to kheyal ban jati ho Sunta hoon tu hakayat ban jati ho Dekhta hoon tu manzar ban jati ho Kyun itni shidat say yad ati ho tum Chalta hoon tu rasta ban jati ho Rukta hoon tu manzil ban jati ho Samundar hoon tu bhanwar ban jati ho Darya hoon tu lahar ban jati ho Kyun itni shidat say yad ati ho tum Suraj hoon tu roshni ban jati ho Chand hoon tu chandni ban jati ho Sitara hoon tu Asman ban jati ho Zameen hoon tu nazara ban jati ho Kyun itni shidat say yad ati ho tum Lekhta hoon tu ghazal ban jati ho Ayna jo dekho tu akas ban jati ho Jo hoon tanha tu humsafar ban jati ho Mere har dard ka marham ban jati ho Kyun itni shidat say yad ati ho tum

—– —
#11

Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka Sahara Na Kisi Ko samjhtey To Acha Hota Yaqeen apni Kamyabi ka kisi Ko Kab Hota Hai Taqdeer k Muqabil Na Hotey To Acha Hota Sochtey They Aitbar Andha Ho Ga DeWaNa Tum Per Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta Na achey Kisi Ko Lagtey To acha Hota Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota,,,

—– —
#12

MUJE HAR ROZ KEHTI HAI BATAWO KUCH NAYA LEKA KABI OS SE YE KEHTA HOO K MAI NE NAZAM LEKI HAI MAGAR UNWAAN DAINA HAI BAHUT BAITAAB HOTI HAI WO KEHTI HAI SUNAWO MAI ESAY ACHA SA EK UNWAAN DETI HOO WO MERI NAZM SUNTI HAI AUR OSS KI BOLTI AANKAIN KISI MISRA,,, KISI TASHBEEH PER U MUSKURATI HAI MUJE LAFZO SE KIRNAIN POOTHTI MEHSOOS HOTI HAI WO PHIR ES NAZM KO ACHA SA EK UNWAAN DETI HAI AUR ES K AKHRI MISSRAY K NEECHAY EK ADAAY-E-BENIYAZI SE WO APNA NAAM LEKTI HAI MAI KEHTA HOO SUNO ! YE NAZM MERI HAI TO PHIR TUM NE KYU APNE NAAM SE MANSOOB KER LI HAI MERI YE BAAT SUN KER OS KI AANKAIN MUSKURATI HAI WO KEHTI HAI SUNO SAADA SA RISHTA HAI K JAISAY TUM MERE HO,,, ES TARAH YE NAZM MERI HAI AJAB PAGAL SI LARKI HAI

—– —
#13

Tum Kesi Mohabbat Kertey ho main aisi mohabbat kartee hoon tum kaisi mohabbat kartay ho tum jahan pe bayth k jate ho main waheen pe bethi rehti hoon us cheez ko chooti rehti hoon main aisi mohabbt karti hoon tum jis se huns k milte ho main us ko dost banati hoon tum jis rustay par chaltay ho main us say aati jati hoon main aisi mohabbat karti hoon tum kaisi mohabbat kartay ho tum jin ko daykhtay rehtay ho wo khuwab.sarhanay rakhti hoon tum say milnay julnay k kitnay hi bahanay rakhti hoon main aisi mohabbat karti hoon tum kaisi mohabbat kartay ho tum jahan bhi bayth k jata ho jis cheez ko hath lagatay ho main waheen peh baythi rehti hoon us jaga ko chooti rehti hoon main aisi mohabbat karti hoon tum kaisi mohabbat kartay ho kuch khuwab saja kar aankhoon main palkon say moti chunti hoon koi lums agar choo jaa a to main pehroon us ko sochti hoon main..aisi mohabbat karti hoon tum kaisi mohabbat kartay ho jin logon main tum rehtay ho tum jin say batain

—– —
#14

koi talaash karna chaahey to talaash kar sakey na, chun chun k merey tukrey poori laash kar sakey na. main katoon kuch is adaa se k har juz mera bikhar jaey, na qafan mujhey koi dey na janaaza koi paraey, na ho dafan karney wala na qabar koi banaaey, koi nishaan mera poochey to nishan bata sakey na, qiyaamat k din mera Allah jab mujhe bulaaye, mera jism banaaya jaaey ye sawaal uthaaya jai, ye haal tumhaara kiun hai is haal main kiun ho aaye !! sir sajda rez ho jaey zaban kuch bata sakey na, meri dekh kar ye haalat mera Allah muskuraaey wo kahey k mera shaheed sir sajday se uthaaey or janat main chala jai, phir mot aana chahey to bhi aa sakey na! Janat main jab main pohnchoon To mera Allah ye fermai Mera shahid jo bhi maangey Wo anaayat ho jai, Main kahoon mujhey lutaa do Muqaabil main kafir aaey Shahaadat main jo maza hai Jannat main aa sakey na….

—– —
#15

suniye!! apni khobsorat kalayi main baray chao se chorian gumatay hue us ne kaha ‘ yeh chorian dekhiye kaisi hain yeh aap ko pasand hain yeh aap ke naam ki hai hum ne aap ki taraf se li hain aap hamaray ho na ho na . aap hamaray’ is se pehle ke wo meri ankh main chamaktay aansoo dekhti jaldi se main ne kaha ‘haan bohat khobsorat hain yeh chorian tumhari kalayi main bohat saj rehi hain’ mere naam ki daway dar wo payari masoom larki khusi se muskara di aur bhool gayi apnay sawal ka jawab

—– —
#16

Agar awaz dainy say Agar wapas bulany say Agar magmum huny say Agar ansu bahany say Bichar kar jany waly lout aaty ,to Phir hum awaz dy laity Bohat ansu baha laity Inhein jany nahi daity Inhein dil mein basa laity Samy ko rok laity Waqt ko qaid kar laity Magar aaty howay logon ko jana hy Inhein jitna bhi rooko,inhein ahkir ko jana hy So hum ny souch rahka hy K in ko naik bahkti ki duaein dein Humary pass guzaray mosamon ki chand yaadein hein So unki nazar karty hein Humary pass chand ikhlas mein mehki duaein hein So unk naam karty hein

—– —
#17

Teri Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey, Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa, Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa, Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah, Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah, Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah. Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey, Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey. Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey Tere Khat Aaj Main Darya Mein Bahaa Aayaa Hoon, Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon

—– —
#18

Uss ne ek baar mujhse poocha, ke batao mujhe kitna yaad kerte ho, maine kaha!bohot zeyada uss ne phir sawal kiya ke phir bhi batao to akhir kitna maine kaha bohot bohot zeyada mera jawab sun kar woh zara si muskurai dhere se aur kaha ab mujh se bhi to pocho aur jab maine pocha to uss ki muskurahat gehri hoti chali gai aur halka sa gulabi rang uss ke chehre peh agaya aur guzar gaya uss ne mujhe dobi hue nazro se dekha aur pulke jhuka ke boli PAGAL!

—– —
#19

Mujhey abh yaad aaata hey merey haaalaaat hein kyoun aisey Bachpan k zamaney mein Youni ik rooz dr pe aye swali ka mein ney mzaak uraya thaa khali haath loutaya thaa wo jatey jatey sda dey gyaa mujhey ishq ki wo dua dey gya mein ney jbh apna ishq paya wo mujhey yaaad ayaa jissey khaali thaa loutaya dua ki jisney mujhey mera yaar milaya abh apney hallaat deikh kr ehsaas yeh hova tbh swali ney ishq ki jo the di dua wo drasal the bddua mein aaj ik swaali ke he dua sey usi kitrhaan swali bn k kisi k dr peysdaa dey raha houn bn k aashiq swali ki dua sey mein manngney ki szaa ley raha houn

—– —
#20

Ek din ek udas lamhe ne Muskurate hue jo dekh liya Jaane kya dil main soch liya Raasta mera hans ke rok liya Aur seene se lag gaya aise Jaise bichra hua koi apna Ek muddat ke baad milta hai Tab se woh mere paas rehta hai Es liye Dil udaas rehta hai.

—– —
#21

Woh jazbon ki tijarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Usay hansnay ki aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Mujhay us nay kaha aao nai dunya basatay hain Usay soojhi shararat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Hamesha us ki aankhon main dhanak kay rang hotay thay Ye us ki aam aadat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Woh meray pass bethi dair tuk ghazlain meri sunti Usay khud say muhabbat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Meray kandhay pe sir rukh ker kaheen kho gai thi wo Yeh ik waqti inayat thi, yeh dil kuch aur samjha tha Mujhay wo daikh ker aksar nigahain phair leti thi Yeh dur perda haqarat thi, yeh dil kuch aur samjha tha

—– —
#22

Ik zara si ranjish se Khawab toot jatay hain bheer mein zamanay ki haath chooth jatay hain dost daar lehjay mein silwatein si parti hain ik zara si ranjish se shak ki zard tehni per phool badgumani k is tarha se khiltay hain zindagi se pyaray bhi ajnabi se lagtay hain ghair ban k miltay hain umer bhar ki chahat ko, aasra nahi milta khaamoshi k waqfon mein, baat toot jati hai aur sira nahi milta maazrat k lafzon ko, roshni nahi milti lazzat e pazeerai bhi, phir kabhi nahi milti phool rang waadon k, khawab toot jatay hain manzilein sukarti hain, raah murnay lagti hai be rukhi k gaaray se, be dili ki mitti se faaslon ki eenton se, eent jurnay lagti hai khaak urnay lagti hai khawab toot jatay hain, waahmon k saaey se umer bhar ki mehnat ko, pal mein loot jatay hain ik zara si ranjish se saath toot jatay hain ..

—– —
#23

Meri Zindagi Main Meri zindagi main bas ik kitab hai,ik charagh hai ik khwab hai aur tum ho yeh kitab o khwab ke darmyan jo manzilain hain,main chahta hun tumhare saath basar karun yahi kul asasa-e-zindagi hai,isi ko zaad-e-safar karun kisi aur simt nazar karun to meri dua main asar na ho mere dil ke jaada-e-khush khabr per bajuz tumhare kabhi kisi ka guzar na ho magar is tarha ke tumhe bhi is ki khabar na ho isi ehtyat main sari umr guzar gai woh jo aarzu thi,kitab-o-khwab ke saath tum bhi shareek ho,wohi mar gai isi kashmakash ne kai sawal uthaye hain woh sawal jin ka jawab meri kitab main hai na khwab main mere dil ke jaada-e-khush khabr ke rafeeq! tum hi bataao ke yeh kaarobaar-e-hayat kis ke hisaab main meri zindagi main bus ik kitab hai,ik charagh hai ik khwab hai aur tum ho. ..!!!

—– —
#24

Mere Hamsafar. Mery Ham Nasheen. main nay RAB say manga to kuch b nahe. main ny mangi jab b koi dua nahe manga kuch b ‘tery siwa’. yeh talab kya k mera KHUDA! Sabi Rahatain, Sabi Chahatain.. wo atta kary tujy manzilain.. Yeh talab kya k Mera KHUDA! Tujy Bakhat dy.. tujy Taaj day..Tujy sehat day.. mery hamsafar, mery charagar, yeh hay dosti ka kathan safar.. tu sath chalna zara soach kar zara dekh to mera hosla.. mery pass jo b.. wo hay tera. nahe aur kuch b tery siwa.. meri dosti..meri zidgi.meri khamoshi.meri be-bsi. mera ilm b.mera naam b..K meri subah.. k meri sham b k jo mil sakain mery daam b..wo sabi kuch tujy ata kary mery charagar tu yaqeen to kar mujy mangana to na aa saka.. main nay phir b mangi yahe dua. K gawahi de ga mera KHUDA. main nay jab b us say talab kya.. nahe manga kuch b ‘….TERY SIWA….::::::::: ‘….TERY SIWA….:::::::::

—– —
#25

Woh Aksar Apnay Kaam Main Magan.. Baithay Baithay Mujhay Sochnay Lagta Hai.. Woh Sari Baatain Yaad Aati Hain Us Ko.. Woh Subhain , Woh Shamain.. Wohi Zindagi Ki Musafatain.. Jinhain Gin Gin Kay Guzara Kartay Thay.. Phir Jab.. Haqeeqaton Main Wapis Lout-Ta Hai.. To Muskura Daita Hai.. Aur Sar Jhatak Kay Kehta Hai.. PaGLi!!!!!!!

—– —
#26

Mairay jaanay pay aey jaanan.. Paraishaan tum naheen hona.. Kabhi chhup ker naheen rona.. Judaaii zeher hoti hay.. Mujhay maloom hay laikin.. Firaaq-o-hijr ka mausam yaqeenan beet jaaey ga.. Yaqeenan wasl k lamhay.. Dobaara laut aaeyn gay.. Wohi shaamain, wohi raatain.. Wohi qissay, wohi baatain. Wohi phir daastaan ho gi.. Mohabbat meherbaan ho gi..!!!

—– —
#27

Hath ki lakeeroon men kiya talash kertay ho in fazool baatoon men kiss liye ulajhtay hoo jis ko milna hota hay bin lakeer daikhay hi zindgii ki rastay per saath saath chalta hay phir kahan bichrta hay jo nhi mukadar men kab humain wo milta hay kab wo saath chalta hay haath ki lakeroon men kiya talash kertay ho..

—– —
#28

sitarae jo damakte hain kisy ky chashm-e-heran main mulaqaten jo hoty hain jamale abro baraan main yeh na abaad waqton main dil-e- nashaad me hogi MUHABBAT AAB NAHY HOGi yeh kuch din baad me hogi guzar jaien ge jab yeh din yeh unky yaaad me hogi..!!!

—– —
#29

Nahin aisay satao tum,Mujay Tanhai dasti hai,kahin say lot aoo tum,Mujay Tanhai dasti hai,yakin tum ko meyri bathun pe akhir kyun nahin hotha,meri jan maan jao tum,Mujay Tanhai dasti hai,koi dastak koi aahat na koi ghar pe aaya hai,prindo chechao tum,Mujay Tanhai dasti hai,mujay lagtha hai muj ko ab judai maar daalay gi,k ab to maan jao tum,Mujay Tanhai dasti hai,na janey tum kahan per chor aye ho Naseeb us ko,usey phir ley hi aao tum,Mujay Tanhai Dasti Hai

—– —
#30

ZAMANAY SE SUNA THA K MUHABAT HAAR JATI HAIJO CHAHAT IK TARAF HO,WOH CHAHAT HAAR JATI HAIKAHEN P DUA KA ‘IK LAFAZ’ BHE ASAR KER JATA HAIKAHEN BARSON KE IBADAT HAR JATI HAIMUHABAT KAB KISI KO DUSHMANI KA DARS DETI HAIMUHABAT KE BAZI MAIN ADAAWAT HAR JATI HAIHAMAIN KITNAY BHE SHIKWAY HON US KE JAFAON KPER US K SAMNAY HER IK SHEKAIT HAAR JATI HAIIK ARZO SE HAI K US KO BHOOL JAIN HAMUS KE YAAD ATAY HE YEAH HASRAT HAAR JATI HAI

—– —
#31

Har roz dekhta hu tumhe naino ke jharokhon se,Har roz iss dil ko tum naye hi nazar aate ho.Kya bat hai tere husn mein samjhaye koi mujhe,Kyu har baar aur bekarar mujhe kar jaate ho.Kehna chahte hai kitni batein tumse dil ki apne,Par tum toh nigahen milane se bhi katrate ho.Dekha hai tumhe chupke chupke mujhe dekhte hue,Phir pas aane se mere kyu ghabraate ho.Aise na karo, izhaar-e-dil mushkil hua jaate hai,Kyu dil ki mere uljhano ko tum badhate ho.Jo bat tere dil mein hai, wahi hai bat idhar bhi,Keh bhi do usse, kyu dil ko itna tadpate ho.Lab khamosh hain khamosh sahi, parwah kisko hai,Nigahon se kaho kab mujhe haal-e-dil sunate ho.;)

—– —
#32

Hum ne kisi ki yaad mein rona hi chhod diya,Apni Zindagi ko talaash karna hi chhod diya,Sab beeti hui baatein bhula di humne,Ab Dil mein maazi basana chhod diya,Kaanto se bhar dete hai log daaman,Humne Aangan mein Phool khilana hi chhod diya,Kabhi na maangege kisi se bheek Mohabbat ki,Is hi liye humne Pyaar karna hi chhod diya..!!!

—– —
#33

Great collection of roman urdu ghazal sms messages. below are some of the most common keywords used to search ghazals:- bahut khoobsurat ghazal , urdu ghazals , hindi ghazals , pakistani ghazals

—– —
#34

Saarey waadon ko bhula sakta hun, lekin rehne do..!

—– —
#35

Sir jhukaany ki aadat nahi hay, Aansoo bahaany ki aadat nhi h,

—– —
#36

Juda hone ka andesha’ juda honE se pehle tha, Wo mujh se intehai khush’ khAfa hone se pehle tha,

—– —
#37

Ab Agar Aao To Jaane ke Liye Mat Aana Sirf Ahsaan Jataane ke Liye Mat Mana

—– —
#38

Jo na mil saka wo baywafa yeh bare ajeeb si baat hai

—– —
#39

Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte

—– —
#40

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

—– —
#41

Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari

—– —
#42

Hum nazuk nazuk dil waley Kabhi hastey hain kabhi rotey hain Kabhi dil mein khwab parotey hain,

—– —
#43

Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota. Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota,

—– —
#44

Koi mousam bhi hum ko raas nahin woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin

—– —
#45

Merey sabar ka na ley Imtehaan Meri khaamoshi ko sada na dey Jo terey baghair na jee sakey Usey jeeney ki to duaa na dey

—– —
#46

aj khoya hua ik dost bohat yaad hai acha guzra hua waqt bohat yad aya

—– —
#47

Bachpan Ka Zamana Hota Tha, Khushio.N Ka Khazana Hota Tha.

—– —
#48

Jo Meri aankhon se Khuwab dekho To Aik shab bhi na So sako Gay

—– —
#49

Main na mil sakon jo tum se, meri justujo na karna Tumhain meri hi qasam hay, meri arzoo na karna

—– —
#50

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

You can help to enrich this collection of General Ghazal by sending and submitting more messages from your collection by writing in comments section and by providing nice ideas. This is Set 11 of General Ghazal. In case of spelling mistakes, other issues report them in comments section. Share these messages on various messenger apps like whatsapp, allo, hike, telegram, skype, FB messenger and others.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *