Urdu Poetry Text – Set 5 – 2017

Comprehensive collection of Urdu Poetry SMS. The compilation includes some good quality text messages which can be shared on various messenger apps and social network platforms. Browse through nice repository of Urdu Poetry SMS with latest and new Text Lines being added quite often. You will find some new, unique & interesting Text Lines and messages. Explore best and rare collection of Urdu Poetry SMS here, select any text from the wide range and share or send using mobile. Apart from Urdu Poetry SMS, the collection also includes Text Lines in other categories.

#1

~ Hum BHi Maujood Thay
Taqdeer k Darwazey Per ~

~ Log Daulat Pe Girey Hum
Ne Tujhy Maang Liya ~

—– —
#2

Tumhara Saath
Tasalsul Se Chahiye
Mujh Ko

Thakan Zamano’nKi
…Lamho’n Mein Kab
Utarti Hy ! ! !

—– —
#3

Ye Zamane Ki Wafaen Mere Kaam Ki Nahi,

Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Ki Nahi,

Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi,
Ye Tamam Muskurahaten Kisi Daam Ki Nahi,

Mujhe Gham Hai To Uske Chin Jane Ka Hai
,
Parwah Mujh Par Lage Ilzaam Ki Nahi,

Mera Haath Dekh Kar Najumi Ye Bola,

Bohat Si Chahaten Tere Liye Hain Baqi Lekin…?

Tere Haath Main Koi Bhi Lakeer Uske Naam Ki Nahi.

—– —
#4

CH00MA Tha Kuch Is Tarah SeMery Labon Ko GurIyA Nay Akhri Bar,k Jism Mai Zehar Bhi Phela DiYa0r Maut Bhi Na Ai!

—– —
#5

Naye Deewano Ko Daikhte HainTo Khushi Hoti Hai…GurIyA. . . /.Hum Bhi Aise TheJAb Naye Aay The ‘Me-Khane Main…

—– —
#6

[ Woh AaYi Thi ??? ]Main ApneY Business KeY SiLsiLe MainKabhi Kabhi Is KeY Shehar Jata Hon To Guzarta Hon Us GaLi SeYw0h Neem Tareek Si GaLi .!!Aur Is KeY NuQarr Pe Aonghta Sa Purana KhambaUsi KeY NeecheY Tamam Shab Intizaar Kar KeYMain Chorr Aaya Tha Shehar Us KaBohat Khasta Si Roshni KeY Asaa Ko TaikeYWoh Khamba Ab Bhi Wahin Kharra HeYFatoor He YehMagar Main KhambeY K Pass Ja KarNazar Bacha K MuhalleY Waalon KiPooch Leta h0n Aaj Bhi YehWoh MereY JaaneY K Baad Bhi,, AaYi To Nahin Thi ???Woh AaYi Thi KiYa .!!

—– —
#7

Yeh Sheesha Shouq Hai Aadat Nahi..!

Ye Jazbaat Mitati hai,
To Pita Hoon !

Adhi Raat K Waqt Main Pagal Tou Nahi !

Teri Yad Satati Hai,
To Pita Hoon..!

Is Sheeshay Mein Fazeelat Koi Nahi,

Ye Fiqr Mitati Hai,
To Pita Hon

Mujhey Pata Hai Is sey Mujh Ko Milna Kuch Nahi,

Ye Umr Ghatati Hai,
To Pita Ho..!

—– —
#8

Suraj Pighal k Raat Ki
Waadi Mein Beh Gaya

Iss Haadsey K Naam
Shab-e-Intizar Hy .. !!

—– —
#9

Ye Thora Sa Jeevan
Adhura Sa Mosam

Ye Rango’n Ki Chahat
Gulabo’n Ki Hasrat

Ye Roshan Sawerey
Ye Madham Andherey

Ksi Roz Tanha Milo
Tou Btaye’n !

Khyalo’n Ki Rahei’n
Chamakti Nigahei’n

Wafae’n Nibhana
Adae’n Dikhana

Ye Ek Silsila Hy
Magar Faasla Hy

Jawan Hyn Umeedei’n
Uri Hyn Jo Neendei’n

Ksi Roz Tanha Milo

Tou Btaye’n !

Agar Jaan Jao Tou
Ehsas Rkhna
Isay Raaz Rkhna

Kro Ek Wada
Bna Lo Irada

Mulaqat Kr Lo
Wohi Baat Kr Lo

Ksi Roz Tanha Milo

Tou Btaye’n !

—– —
#10

Kitna Udaas Hun Main
Apni Shehar Ki Halat Dekh Kar,,,

Na Jane Or Kitni Maon Ki Goud Ujre Gi..?? . . . /

Plz Pray 4 Karachi.. ;’-<

—– —
#11

Meri Yaadasht Ka Mehwar Hai Teri Yaad,

Phir Kyun Darty Ho K Main Bhula Doon Ga Tumhain? ?

—– —
#12

Dedicated To Karachi .

Daikho Gy To Mil Jayen Gi Har Mor Py Laashain..

Dhoondo Gy To Is Shahr Main Qaatil Na Mily Ga…!!!

—– —
#13

Kis qadar zulm dhaya kertey hoYeh jo tum bhool jaya kerte hoKis ka ab haath rakh ke seene perDil ki dhadhkan sunaya kerte hoHum jahan chaye peene jate thayKia wahan ab bhi aaya kerte hoKon hai ab ke jis ke chehre perApni palkon ka saaya kerte hoKiun mere dil mai rakh nahee deteKis liye gham uthaya kerte hoPhone per geet jo sunate thayAb wo kis ko sunaya kerte hoAkhiri khat mai usney likha thaTum mujhe yaad aaya kerte ho

—– —
#14

Ab jo lautey ho itney saaloon meinDhoop utree howi hai baaloon meinTum meri aankh kay samunder meinTum meri rooh kay ujaaloon meinPhool hi phool khil uthey mujh meinKoun aaya meray khayaaloon meinMein ney jee bhar k tujh ko daikh liyaTujh ko uljha k kuch sawaloon meinMeri khusiyoon ki kainaat bhi touTou hi dukh dard k hawaloon meinJab tera doostoon main zikr aayeThees uthti hai dil k chaalon meinTum sey aabaad hai ye tunhaayiiTum hi roshan ho ghur k ujaaloon meinKya usse yaad aa raha hoon WasiRung ubhrey hain uss kay gaaloon mein

—– —
#15

Kabhi aansu chhupa chhupa k royeKabhi dastan-e-gum suna suna k royeRaat kat-ti hai intzar-e-yaar meinHum raat bhar taron ko jaga jaga k royePhir wo na aye raat ka wada kar kHum tamam raat shama jala jala k royeAaj raat un k aane ki umeed thi humeinWo na aye hum ghar ko saja saja k royeSuna hai ‘Wasi’ dua se hoti hai murad poriAry hum to sari raat hath utha utha k roye

—– —
#16

Tu Ny Hi Swaar Kiya Tha Mohabbat Ki Kashti Py Ab Nazrain Na Chura, Mujhy Doobta Bhi Dakh

—– —
#17

Jhooti Mussaraton Ko Ye Haadsa Suna Do,..Hum Ghum Ki Talkhiyon Pay Imaan Laa Chukay Hain…!

—– —
#18

Yahan logon ki niyaat mai Yazeedi wasuf hai Mohsin ,,,,,wohi mujh ko mitaatay hain ,jinhein mai tarteeb deta hon …..

—– —
#19

Bina Jin Ke Zindagi Kabhi Basar Na HuyiChaley Gaye Mairey Dil SayMujhey Khabar Na HuyiKoi Shikwa Na Koi GilaBas Majboori Ka Bhana Kar KeWoh Kisi Ajnabi Ki Tarah Daman Apna Churra KeRaah-e-Hayat Mein HumeinAkaila Chorr GayHum Kya KarteyDard Kis Ko SunateyKon Sunta Hai YahanChup Hi RaheyAansoo Qatra Qatra Kar KeDil Ke Weeraan Khaanon MeinGirtey RaheyZabt Ki Bhi Had Hoti Hai ShayadWoh Had Hum Paar Kar GayeBhool Gaye Aakhir KaarKhud Ko BhiAur JaananTum Ko Bhi ……!!!

—– —
#20

Chalo Hum Maan Lete Hai,Tumhe Fursat Nahi Milti,Na Duniya Ke Jhamelo Se,Na Apno Ke Fasaano Se, Ye Sab Kuch Maan Lete Hai,Magar Ek Aarzu Dilki,Tumhe Dilse Batate Hai,Agar Fursat Mile Tumko,Ek Lamhe Ko Aa Jana,Hamein Itna Bata Jaana,Tumhe Hamara Intezar Hai,Tumhari Aankhon Me Ab Bhi Hamare Khwab Palte Hai,Yakeen Jaano Ye Ek BaatHamein Umar Bhar Intezar Karne Ka Hausla De JayegaHamein Deewana Bana Dega…

—– —
#21

Meri muhabbat mere jazbaatSirf Tum Se HaiDekho meri kainaatSirf Tum Se HaiOron se mein pochne kahaq nahein rakhtaMere sawalat mere jawabatSirf Tum Se HaiTum ko maloom hi naheinmeri tanhai ka dukhMeri sochein mere khyalatSirf Tum Se HeinTum sath ho to muqaddarpe hakomat apniMere har rishte ki sougaatSirf Tum Se HaiGar kabhi bikhar jaon tosamait lena mujh koHai mukammal jo meri zaatSirf Tum Se Hai…

—– —
#22

Wo Pyar Ka Saboot Dikhaya
Kerta Tha

Aansoo Baha k Humei’n
Manaya Kerta Tha

Ye Zindagi Sirf Tum Se
Wabasta Hy

Aksar Ye Baat Humei’n
Bataya Kerta Tha

Us Ki Baato’nMein Kuch
Aisa Asar Tha

Main Barish k Bina Hi
Bheeg Jaya Kerta Tha

Soney Ki Fursat
Kisey Thi

Wo Humei’n Saari Raat
Jagaya Kerta Tha

Be-chaini Jab Hadh Se
Badh Jati Thi

Wo Jee Bhar k Galey
Lagaya Kerta Tha

Wo Itni Mohabbat Kerny
Wala Badal Gaya

Jo Har Baat Per Meri Qasm
Khaya Kerta Tha . . . !!

—– —
#23

Jab Wo Saath Hy Tou
Kisi Ki Zarurat Nahi Mujhy

…Har Taraf Andhera Hy
Par Roshni Ki Zarurat Nahi Mujhy

Koi Rehta Hy Har Waqt
Khayalo’n Mein Is Terha

k Khwaab Dekhny Ki
Zarurat Nahi Mujhy

Ek Dost Hy Jo Baant
Leta Hy Har Dukh Mera

Har Kisi Se Apna Gham
Batane Ki Zarurat Nahi Mujhy

Us Ki Har Baat La-jawab
Hy Mere Liye

Us Ki Tareef Kerny Ki
Zarurat Nahi Mujhy

Us Ki Aankho’n Ki Kashish
Kahi’n Janey Nahi Deti Mujhy

Us k Elawa Kisi Ko Apna
Banane Ki Zarurat Nahi Mujhy

—– —
#24

Suna Hoga Kisi Se Dard Ki Hadd Bhi hoti Hia Milo Hum Se K…HuM uS HadD k akseR paaR jaTeY Hain….!!

—– —
#25

Paamaal Ho Gaey Teray darr Pr Paray Huay,
Jaesay Shajar Se Toot K Pattay Giray Huay

Na-qdri_e_Zmana Humein Maloom Hai Magar,
Yaaron Se Phir Fazool K Shikway Gilay Huay

Mehroomiyon K Bojh Se Gardan Jhuki Hui,
Nakamiyon Ki Gard Se Chehray Attay Huay

Shayad Tumhein Khabar Ho Btao Wo Qaafilay,
Thehray Kahan Thy Be Sr_o_Saaman Chalay Huay

Janay Kidhar Chalay Gaey Saray Wo Humsafar,
Hum Rahguzar Mein Reh Gaey Tanha Kharay Huay… ;->

—– —
#26

Matti k jitne ghar mein banata chala gayaEk shakhs khafa ho k girata chala gayaWoh mujh se buhat door door bhagta rahaJitna mein us k naaz uthata chala gayaEk mere waste hi us ne dard rakhe theyBaqi to woh har ek ko hansata chala gayaThi haath mein taqat par dil nahien manaUs k siwa mein sab ko harata chala gayaDil us ki yaad k jitne chiraag they roshanUn ko bhi sitamgar woh bhujata chala gaya…

—– —
#27

Hai yaad mulaqaat ki woh shaam abhi takMein tujhko bholane mein hoon nakaam abhi takAa tujh ko dikhaon k tere ba’ad ay sitamgarWeran paray hein ye dar-o- baam abhi takGar tark-e-taaluq ko hoa ek zamanaHonton pe machalta hai tera naam abhi takMehsos ye hota hai k woh hum se khafa heinKya tark-e-muhabbat ka hai elzam abhi takMaikhane mein bhoole se chale aye they ‘Mohsin’Ahbab ki nazrao mein hein badnaam abhi tak…

—– —
#28

Mitana Chah0n T0 B Na Mita Paon Ga Uska Naam Apne Dil Se

. .D0st. .

Mitaaye W0 Jaty Hian J0 Galti Se Likhy Jayen. . . . . .

—– —
#29

Usay Muhabat Mein Dhoka To Hum B De Sakte Thy

**Jan|X**

Magar Ragon Mein Dorti Wafa Se Baghawat Nahi Hoti… ;->

—– —
#30

Zamane Bhar k Kaamo’n Mein

Bohat Masroof Ho Shayad

Humari Yaad Bhi Ab Tou

Tumhei’n Kam Kam Satati Hy

Humara Naam Bhi Aksar

Tumhei’n Ab Bhool Jata Hy

Tumhari Aankh Ko Ab Tou

Koi Sapna Nahi Dikhta

Tumhary Dil Ko Bhi Ab Tou

Koi Chehra Nahi Jachta

Humara Naam Lete Thay

Jo Har Saans k Humrah

Jisey Tum Dil Ki Dharkan Ki Terha

Yaad Rakhty Thay

Usi Ko Bhool Jane Ka

Ye Hi Matlab Hua Na Phir

Zamane Bhar k Kaamo’nMein

Bohat Masroof Ho Shayad ! ! !

—– —
#31

Yun Judai Ko Mera Naseeb
Na Banao

k

…Jab Tum Laut k Aao
Tou Mere Paas Zndgi Na Rahe

—– —
#32

Meri Surkh Surkh Aankhei’n
Tujhy Bata Rahi Hyn

Phir Subha Ker Di Main
Ne Tujhy Yaad Kerty Kerty

—– —
#33

Har Roz Bhula Dete Ho
Kamal Kerty Ho
Hanstey Ko Rula Dete Ho
KamalKerty Ho

…Nahi Hy Mohabbat Tou
Saaf Keh Do
Kyun Umeed Badha Dete Ho
Kamal Kerty Ho

Hum Tumhei’n Bhuulne
Lagty Hyn JabBhi
Aa k Pyaar Jata Dete Ho
Kamal Kerty Ho

Jante Bhi Ho k Ek Hi Dia
Hy Mere Ghar Mein
Phir Bhi Hawa Dete Ho
Kamal Kerty Ho

Bhoolne Ka Jo Mujhy
Har Roz kehty Ho
Yun Yaad dila Dete Ho
Kamal Kerty Ho

Khud Hi Khety Ho k
Nasha Haram Hy
Aur Jaam Bhi Thama Dete
Ho Kamal Kerty Ho

—– —
#34

Wo apni mohabbat
ka alam sunaty rahe

Aur hum dheere dheere
hosh mein aaty rahe

Wo aane wale daur ki
baatei’n batate rahy

Hum puraani yaado’n
se apna jee behlaty rahe

Honto’n par kisi aur ka
naam le ker wo apni aarzu
jataty rahe

Hum kbhi un ko tou kbhi
apne dil ko samjhaty rahe

Wo khud ko kisi aur ki
amanat batate rahe

Aur hum apna sab kuch
lutatey rahe

Wo itna muskuraye k
unki aankho’n se aansu
beh gaye =(

Humari aankho’n se
aansu behty rahy ='(
aur hum muskurate
rahe

—– —
#35

For Every Single
~PAKISTANI~

Iqbal Teri Qaum Ka
Iqbal Kho Gaya

Maazi Tou Sunehra Hy
Magar Haal Kho Gaya

Wo Raub-o-Dabdaba
Wo Jalal Kho Gaya

Wo Husn-e-Be.Misaal
Wo Jamal Kho Gaya

Doobey Hyn Jawabo’n Me
Per Sawal Kho Gaya

Iqbal Teri Qaum Ka
Iqbal Kho Gaya

Udtey Jo Fizao’n Mein
Thay Shaheen Na Rahe

Ba-Zauq Na Rahe
Zaheen Na Rahe

Pkeeza Gar Nahi Rahe
Ba-Deen Na Rahe

Wo Lal-o-Gulzar Wo
Mah-jabeen Na Rahe

Momin Ka Wo
Andaz-e-B.kamal Kho
Gaya

Iqbal Teri Qaum Ka
Iqbal Kho Gaya

—– —
#36

Raat kia soye k baaqi umar neendain urh gayi , .khwab kia daika k dachka lg gaya taabir ka. .

—– —
#37

~*~ ADHOORA PYAR ~*~

Chalo Tum Saath
Mat Dena,
Mujhy Beshak Bhula
…Dena,
Naye Sapne Saja
Lena,
Naye Rishtey Bana
Lena ,
Bhula Dena Sab Hii
Waadey,
Sab Hii Qasmei’n,
Sab Hii Naatey ,
Tumhei’n Jana’n
Ijazat Hy,
Jo Dil Chahe Wo
Sab Kerna,
Magar Ab Tum Kisi
Se Bhi

‘Adhoora Pyar’
Mat Kerna … ! ! !

—– —
#38

Unhei’n Jo Khud Per Itna
Naz Hy Tou Aisa Kuch
Ghalat Bhi Nahi

k Jis Ko Hum Chahei’n
…Wo Kyun Na Khud Per
Naz Kare … ^_^

—– —
#39

Janay Kyun Mujhe Tu YAad Agai,
Yaadon mAy Meri Kyun Ajj Agai. . . . /

May Kuch Bhi Nahi TEray Bina
MAy JAon Kahan Teray Bina. . . ./

—– —
#40

‘Sooraj Hamein Hr Shaam Yeh Dars Deta Hai,

k Maghrib ki Taraf Jao Gey To Doob Jao Gey.’

A Silent MessageFor All Muslims.

—– —
#41

jub mujhy chahat ki zarort thi tu kisi ne cha hi nahi.ab kisi ne cha hai lykn mujhy ub kisi chahat ki zarorat nahi.

—– —
#42

na chair qissa-e-ulfat barri lambi kahaani hai,me zamaane se nahi haara kisi ki baat maani hai..

—– —
#43

dil ko ab tark-e-tmanna pe karein ge raazi wasi…youn shab-o-roz mohabbat k sitam kon sahay..!

—– —
#44

aashna to thay hayat e bewafa se,afsoos k anjan rhy raaz e mout se hum…

—– —
#45

mujhay hukum huwa kuch or maang us k siwa,mohsin,main dast-e-dua se uth gaya k dua kuch bhi nahi us k siwa…!

—– —
#46

dosti ab galy ka haar nahi………..taar toota bikhr gaey daney!!

—– —
#47

jo guzari na ja ski hum se….hum ne wo zindgi guzari hy….!!!!

—– —
#48

andesha…..!!!!aankh purnamdil pareshanlab hain larzankaun aaya phir palat kertere aur mere darmiyan…!?!?

—– —
#49

Wohi Gardashain Wohi Paich-o-Kham Tere Baad Bhi,Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar,Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,Teri Muntazir Meri Chasham-e-Namm Tere Baad Bhi,Tu Kisi K Qalab-o-ArzoO Mein Dhal Gaya,Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,Mere Baad Kitnay He RoOp Tu Ne Badal Liye,Main Wohin HoOn Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi .

—– —
#50

kitna na samajh tha main sochta tha aik shakhs hi hai mere khailaf.yahan tu shahar k sabhi log mere khalaf-e-haal nikle.

You can help to enrich this collection of Urdu Poetry SMS by sending and submitting more messages from your collection by writing in comments section and by providing nice ideas. This is Set 5 of Urdu Poetry SMS. In case of spelling mistakes, other issues report them in comments section. Share these messages on various messenger apps like whatsapp, allo, hike, telegram, skype, FB messenger and others.


Posted

in

by

Comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *