Comprehensive collection of Sad Poetry SMS. The compilation includes some good quality text messages which can be shared on various messenger apps and social network platforms. Browse through nice repository of Sad Poetry SMS with latest and new Text Lines being added quite often. You will find some new, unique & interesting Text Lines and messages. Explore best and rare collection of Sad Poetry SMS here, select any text from the wide range and share or send using mobile. Apart from Sad Poetry SMS, the collection also includes Text Lines in other categories.
Kabhi abad krta tha kabhi barbad krta tha,
Sitam woh roz ik naya ijad krta tha,
Zamana ho gaya lekin khabar lene nahi aya,
Jo panchi roz mere nam pr azad krta tha?
—– —
#2
Apny dard barha leti hun
yadon main usey pas bula leti hun
zindgi jeeny se qabal jo maar gya tha
har pal usy jeeny ki dua deti hun
—– —
#3
Roshni kab kam hui pata nahi chala
ankh kab nam hui pata nahin chala
teri yaaad main khooye kch is tarha
ankh kab nam hui pata nahi chala
—– —
#4
Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Ha To Jam Jam Barsay
—– —
#5
Mohabat ka irada badal jana bhi mushkil ha
tmhen pana bhai mushkil tmhen khona bhi mushkil ha
udasi tery chehry ki gawara bhi nahi dil ko
teri khatir sitary toor kr lana bhi mushkil ha
zara si baat per ankhen bhigo kr baith jaty ho
tumhen to hal-e-dil batlana bhi mushkil ha
—– —
#6
Hum tery hijer main ander se toot jaty hain
zinda rehty hain mager ander se toot jaty hain
jab kabhi bolta hai hans ke kisi aur se tu
kitny hanjer mery seeny main uter jaty hain
teri yadoon ki agerbattiyan jall uthty hi
hum tery derd ki khushboo se bher jaty hain
—– —
#7
Kahan MuMkin tha mein dil se teri yaad mita deta.
Bhala kesay mein jeeta agar tujh ko bhula deta.
Teri ruswai k dar se labon ko see liya warna.
Tere sheher-e-munafiq ki mein bunyadain hila deta.
—– —
#8
Ghar sai niklee tu mujhay sham ka bazaar mila
doost jo bhi mila bay-chain beqaraar mila
yeh muhabbat thi kai murdh kar bhi na dekha tumnay
mujhay virsay mai muhabbat ka intezaar mila
—– —
#9
barasti boond chun chun kar koyi gajra bana deyna
merey haathon main balon main kabhi baarish saja deyna
kisi khushboo ka an deykha sa aanchal aurh loon sar sey
gulabon kuch lamhey ko tum mujhey apni adaa deyna
—– —
#10
Zindagi zaat sey apni bhi khafa hoti ha
kis liyay itni mohabat ki saza hoti ha
wo jo ho jati ha ulfat mein kisi sey pehli
khata hoti ha yeh mahsoom khata hoti ha
jin ko koi bhi mayassar nahein hota qasid
un ki paigam rassan bad-i-saba hoti ha
jis marz key liyay hoti ha dawa ki hajat
wastey us key bhi tajveez duha hoti ha
—– —
#11
Abhi to mout say pehlay
hazaroon baar marna ha
abhi say thkk gaye ho tum
abhi to jan baki ha
dil o jan ki hadoon say bhi
kaheen aagae, bohat aagay
mairi bay antt chahat ko
khiaal o khaab hona hai.
mujhay maloom hai mujh ko
bohat barbaad hona hai.
—– —
#12
Mary Dil Ka Dard Kis Ne Dikha Ha
Mujhe Bass Khuda Ne Tarptey Dikha Ha
Hum Tanhai Ma Baithe Rote Hain
Logo Ne Humen Mahfil Ma Hasty Dikha Ha
—– —
#13
The gallows in my garden, people say,
Is new and neat and adequately tall;
I tie the noose on in a knowing way
As one that knots his necktie for a ball;
—– —
#14
Shaam Se Aankh May Nami Si Ha
Aaj Phir Aap Ki Kami Si Ha
Daffn Kardo Hamay Kay Saans Milay
Nabz Kuch Dair Say Dabi Si Ha
—– —
#15
Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain
—– —
#16
Bina Dard Ke Aansu Bahaye Nahi Jaty
Bina Pyar Ke Rishte Nibhaye Nahi Jaty
Zindagi Me Ek Baat Yaad Rakhna
Kisi Ko Rula Ke Apne Sapne Sajaye Nahi Jaty
—– —
#17
Mujh Ko Rula Kar Vo Bhi Roya To Hoga
Mooh Aansuon Se Usne Bhi Dhoya To Hoga
Agar Na Kiya Hai Hasil Kuch Humne Pyar Mein
Kuch Na Kuch Usne Bhi Khoya To Hoga
—– —
#18
Ek Raat Vo Mile Khwab Me
Hamne Pucha Kyo Thukraya Aapne?
Jab Dekha Unki Aankho Me Bhi Aansu The
Phir Kaise Puchte Kyo Rulaya Aapne
—– —
#19
Koi Dikah Ke Roay Koi Chupa Ke Roay
Hamein Rulane Wale Hameain Rula Ke Roay
Marne Ka Maza To Tab Ha
Jab Qatil Bi Janaze Pe Aa Ke Roay
—– —
#20
Mat kar pyar mujh se aae ajnabi
sab janty hain main zamany main badnam hun
tery samny zindagi pari hai guzarny k liye
main to likh ker mittaya hua ik nam hun
—– —
#21
zaruri nahin k zindagi ka koi sahara ho
hum chahen jisy wo hamara ho
doob jay karti hain kashtiyan aksar
zaruri nahi k har kashti ka naseeb kinara ho
—– —
#22
Dil k kareeb a k jab wo door ho gaye
sary haseen khawb mery choor ho gaye
humne wafa nibhai to badnamiyan milin
jo log bewafa thy wo mashhor ho gaye
—– —
#23
Silsila Torr Dia us ne to Ye Sadaen Kesi?
Ab jo Milna He Nahi, Phir ye Wafaen Kesi?
Mene Chaha tha Sab Shikwe Giley Door Karna,
Us ne Zehmat hi na ki Sunne ki; To Ye Aahen Kesi?
Ley Lo Wapas Wo Aansu, Wo Tarap or Wo Yaaden Sari.
Nahi Koi Jurm Mera to Phir ye Sazaen Kesi.
—– —
#24
Tujh Se Shikwa to Nahi Magar Aye Likhnay Waly
Tu ne Mukaddar Mera Bara Ajeeb Likha Hai.
Umar Bhar Na Mita Saky Jis se Dooriyan
Us Shakhs ko Dil k Bohat Qareeb Likha Hai.
—– —
#25
Teri Hasraton K Aseer Ho Gaye,
Ham To Bas Ghamon Ki Tasweer Ho Gaye,
Kal Hum Mohabbatin Baanta Kartay Thay,
Aaj Teri Mohabbat K Faqeer Ho Gaye.
—– —
#26
Khawahishon Ka Kaafla Bhi Ajeeb He Hai Saqi,
Aksar Wahin Say Guzarta Hai Jahan Raasta Nahi Hota!
—– —
#27
Ajnabi shahar main Dosti Kahan Se Milti
Muhabbat mout hai is main zindagi kahan se milti
Jis pathar ko humne pooja wahi hum par baras para
Is se zyada dushmano ki dushmani kahan se milti
Hm doob rahe the na jane kahan tak beh gaye
In aansuon k samandar main kashti kahan se milti
Tha uske saath chand ka pehra raat bhar
Humain andheri raah main roshni kahan se milti
Log kehte hain k wo tujhe tabah kar k buhat khush hota hai
To is liye khud ko Tabha Karty Gaey warna usy Khushi Kahan Sy milti..
—– —
#28
Ye Teri Judai Ka Gham Nahi, Ye Silsaly To Hain Roz K,
Teri Zaat Iska Sabab Nahi, Kai Din Se Yunhi Udas Hon.
—– —
#29
Main Rone Se Darti Hon
Juda hone Se Darti Hon,
Meri AankHain Batati Hain
K main Sone se Darti Hon,
Meri Ungli Pakar Lena
Mujhe tanha nahi Karna,
Ye Duniya Ek Mela hai
Tumhain Khone Se Darti Hon,
Jab Hansti Hon to Kyun
Palkon k Goshe Bheeg Jate Hain
Tumhain Maloom Hai Main
Is tarha Rone Se Darti Hon
Jab se Khawab Dekha Hai
Mujhe Tum Chhor Jao Gey
Main ab Khawbon se Darti Hon
Main ab Sone Se Darti Hon.
—– —
#30
Sabhi Ashk Aankhon Men Aa Gae
Na Chhupa Saky Na Bata Saky
Wo jo Bhed Tha Wo Khul Gya,
Koi Baat B Na Chhupa Saky
Na Wafa Rahi
Na Jafa Rahi,
Na Wo Dil Rha
Na Hum Rahy
Us ki Yad Ka Jo Charagh Tha
Na Jala Saky
Na Bujha Saky
Koi Zor Khud Pe Raha
Nahen Koi Bus B Us Pe Chla Nahen
Usy Dekhty Rahy Door Tak, Magr Hath Tak Na Hila Saky
Nahen Is Men Us Ki Khata Koi
Na Naseeb Ka Koi Dosh Tha,
Ye Hamara Apna Mizaaj Tha
K
Kisi Tarh Na Nibha Saky.
—– —
#31
Bolta Nahi Koi, Is Liye Zamane Se
K Log Toot Jate Hai Faisle Sunane Se.
Kyun Uddas Beithy Ho Is Tarah Andhere Mai.
Dukh To Kam Nahi Hote Roshni Bhujane Se.
—– —
#32
Nadani ki Had hai Zara Dekho to Usay Faraz.
Mujhay Kho Kar Wo Koi Meray Jesa Dhoond Raha Hai.
—– —
#33
Ye Jaan Kar Khushi Hui k Usay Bhi Mere Dukh Dard ka Ehsaas Hai.
Aaj Us ne Keh Jo Diya Aakhir Tum Mar Kyon Nahi Jaate.
—– —
#34
Khof-e-Duniya Se Mere Pas Na Aane Wale,
Jaan Rakhte Hain Hatheli Pe Nibhane Wale,
Meri Ruswai Mein Gheron Ka Koi Dosh Nahi,
Es Mein Shamil Hain Mere Apne Chahne Wale,
Kitna Nadan Hon K Es Aas Pe Zindah Hon Abhi,?
Lout Aayen Gay Mujhe Chhor K Jane Wale,
Ab Tu Rasta Hai Na Manzil Na Shanasa Koi,
Shukriya Shukriya Es Morr Pe Lane Wale,
Ab Kahon Tujh Ko Main Mohsin Tu Bhala Kesay Kahon?
Kar K Ehsan Sar-e-Aam Jatane Wale.
—– —
#35
Is Waqt Tabaahi K Qareeb Hai Kashti Meri.
Lehro Zara Taiz Baho, Mujhe Tootny Ka Shauk Nahi!
—– —
#36
Jo Gham Milay Wo Naseeb Thay.
Tha Sab Kuch Phir Bhi Ghareeb Thay.
Jab Dukh Milay To Sab Chor Gaaey.
Meray Apnay Kitnay Ajeeb Thay..
—– —
#37
Pyar to Zindagi ko Sajane K Liye Hai.
Per Zindagi bus Dard Barhane K Liye Hai.
Mere Ander ki Udaasi Kaash koi to Parhe,
Ye Hansta Hua Chehra to Zamane K Liye Hai.
—– —
#38
Us k Dil Main Thori Si Jagah Maangi Thi
Us Ne Tanhaiyon Ka Shehar Mere Naam Kar Diya.
—– —
#39
Hum Ne Ulfat Ka Bharam Sub Se Juda Rakha Hai..
Goya Seenay Mein Tujhe Dil Ki Jaga Rakha Hai..
Dil Ye Chahe K Tu Kabhi Badnaam Na Ho..
Dekh Zikr Tera Hai Magar Naam Chupa Rakha Hai..
Mere Jis Haath Se Kiya Tha Tu Ne Musafha..
Dhoya Hi Nahin Honton Se Laga Rakha Hai..
Ab Main Samjha Tere Rukhsar Pe Til Ka Matlab..
Doulat-E-Husn Pe Darban Beitha Rakha Hai..
Juda Ho Gaye Hain To Phr Kya Hua ‘SAQI’
Teri Tasweer Ko Seenay Me Saja Rakha Hai.
—– —
#40
Mohabbat K Safar Mai Dil Jala Kar Chain Milta Hy,
Tmhare Dard Ki Mehfil Saja Kar Chain Milta Hai,
Wo Bhoola Hy Agar Ehad-E-Wafa to Bhool Jane do,
Humein Aisi Mohabbat Ko Nibha Kar Chain Milta hai.
—– —
#41
Hum Bhi Kitne Deewane Nikle,
Diye se andhera mitane Nikle,
Ghum-e-Dil pe humare jo hansa karte hain,
Hum unko hi Haal-e-Dil sunane Nikle,
Kaghazi Phoolon pr aati Nahi baharain,
Ye jaan k b gulshan sajane Nikle,
Dunya mein bikti hain jhooti kahaniyan,
Sache afsane sab hum jalane Nikle,
Log Bethe hain bhar k muthi mein Namak,
Jane Kia soch k Hum zakham dikhane Nikle.
—– —
#42
Phool Khil Jayen to Us Shaks Se Kam Kam Milna Mohsin.
Asay He Maosam Main Mohabat Pe Zawaal Aata hai…
—– —
#43
Har Gira Huwa Phool Wafa Ka Nahi Hota,
Har Utha Huwa Hath Dua Ka Nahi Hota.
Bujh Jate Hain Diye Aksar Khud Hi,
Har Bar Kasoor Hawa Ka Nahi Hota.
—– —
#44
( UDAASI )
Sakoot-e-Sham mein gonji sada udaasi ki.
K hai mazeed udaasi, dawa udaasi ki.
Amoor-e-dil mein kisi tesrey ka dakhal nahi,
Yahan faqt teri chalti hai ya udaasi ki.
Bohat shareer tha main or hasta phirta tha,
Phir aik faqeer ne dey di dua udaasi ki.
Chirag-e-dil ko zara ehtiyat se rakhna,
K Aaj rat chaly gi hawa udaasi ki.
Bohat dinon se mulaqaat hi nahi,
Kahin se khair khabar le k Aa udaasi ki.
—– —
#45
* DUKH *
Bicharne Ka Nahi Hota
Balkay
Un Rishton K Tootne Ka Hota Hai,
Jo Barson Ki Rafaqat K Bad,
Pal Men Toot Jaty Hain.
—– —
#46
Woh Hum Se Milne ki Koshish To Bohot Karte Rahy Faraz.
Magar Milne Aaye Tab, Jab HUM Matti Mai Mil Gaye.
—– —
#47
Meri Chahat Ko Mere Halaat K Tarazu Main Kabhi Mat Tolna,
‘FARAZ’
Main Ne Wo Zakham B Khaye Hain Jo Qismat Main Nahi Thay.
—– —
#48
Sabhi Ashk Aankhon Main Aa Gae
Na Chhupa Saky Na Bata Saky
Wo jo Bhed Tha Wo Khul Gya,
Koi Baat B Na Chhupa Saky
Na Wafa Rahi, Na Jafa Rahi,
Na Wo Dil Raha, Na Hum Rahy
Us ki Yad Ka Jo Charagh Tha
Na Jala Saky, Na Bujha Saky
Koi Zor Khud Pe Raha
Nahen Koi Bus B Us Pe Chla Nahen
Usy Dekhty Rahy Door Tak,
Magr Hath Tak Na Hila Saky
Nahen Is Men Us Ki Khata Koi
Na Naseeb Ka Koi Dosh Tha,
Ye Hamara Apna Mizaaj Tha K
Kisi Tarh Na Nibha Saky…
—– —
#49
Mutmain Hon k Mujhe Yaad Rakhe Gi Dunya,
Jab bhi is Sheher ki Tareekh-e-Wafa Likhe Gi,
Mere Ghar k Dar-o-Deewaar Mujhe Sochain Gey,
Vus’at-e-Dasht mujhe Aabla Paa Likhe Gi,
Mera Maatam Isi chup chaap Fiza Main Hoga,
Mera Nooha In He Galiyon ki Hawa Likhe Gi.
—– —
#50
Zakham Jab Mere Seenay k Bhar Jaiynge,
Aanso Bhi Moti ban k Bikhar Jaiynge.
Ye Mat Poochna Kis Kis ne Gham Diya,
Warna Kuch Apno k Bhi Chehray Utar Jaiynge.
You can help to enrich this collection of Sad Poetry SMS by sending and submitting more messages from your collection by writing in comments section and by providing nice ideas. This is Set 1 of Sad Poetry SMS. In case of spelling mistakes, other issues report them in comments section. Share these messages on various messenger apps like whatsapp, allo, hike, telegram, skype, FB messenger and others.
Leave a Reply