Comprehensive collection of Sad Poetry SMS. The compilation includes some good quality text messages which can be shared on various messenger apps and social network platforms. Browse through nice repository of Sad Poetry SMS with latest and new Text Lines being added quite often. You will find some new, unique & interesting Text Lines and messages. Explore best and rare collection of Sad Poetry SMS here, select any text from the wide range and share or send using mobile. Apart from Sad Poetry SMS, the collection also includes Text Lines in other categories.
DIL k JALTE hoe ZAKHMO ko HAWA-MAT dena,
BEETE LAMHO k kisi PAL ko SADA-MAT dena,
Teri AANKHON k ye AANSOO to ANMOL MOTI hen,
Apni NAADANI me tum in ko GANWA-MAT dena,
Ab MAZA dene laga DARD-E-MOHABAT mujh ko,
Mujh ko is DARD ki ab koi DAWA-MAT dena,
Yun na ho k LOG MOHABAT hi se TOBA kar len,
Is tarah JURM-E-MOHABAT ki SAZA-MAT dena,
LOG AKSAR yun hi BIN-POCHE CHALE aate hen,
Koi POCHE bhi to tum DIL ka PATA-MAT dena…
—– —
#2
Wo humari bebasi ka mazak bnate gye,
Ek hum hi the jo phir b muskrate gye,
Sar-e-Bazaar bik raha tha PYAR hmara,
Or ek wo the jo humari kimat girate gaye.
—– —
#3
>>>Bahaana<<< Bahaana dhondtay rehtay hain koi ronay kaa Hamain ye shoq hay kaya ankhian bhigonay ka Agar palak pe hay moti tau yeh nahi kafi Hunar bhi chahaye alfaaz main paronay ka Hay pash pash magar phir bhi muskurata hay Wo chehra jaisay ho toty hoaye kihlonay ka...!
—– —
#4
Kash hum samjh letay,
manzilon ki chahat main!
Rasta badlny se,
Fasla nahi ghtta,
Do ghari ki qurbat main
Char pal ki chahat main.
Log, log rehty hain,
Kafila nahi banta,
Hath main diya le kar,
Hont pe dua le kar,
Manzilon ki janib ko..
Chal b dain tu kya hoga?
Khahishon k jungle main,
Itni bheer hoti hai,
Kk umer ki musafit main,
Rasta nahi milta,
Kafila nahi milta,
Hamsafar nahi milta,
Shyad kuch nahi milta!!!!!
—– —
#5
Zindagi sey koi cheez Udhaar na lain gey Faraz…
Kafan bhi lain gey tu zindagi apni de kar…!!
—– —
#6
Uthti nahi nigah kisi or ki taraf Faraz….
Paband kar gai hay kisi ki nazer mujhay….
—– —
#7
Ye soch ker palkon mai chhupa leta hoo Aansoo…
Girr ker ye meri aankh se Bay-Ghar na ho jaey…
—– —
#8
Ab kay wo bichrey ga to yeh iltija karonga Mohsin!!!
Bin apnay jeeney ka koi andaaz tu Sikhata jaa…!!!
—– —
#9
Kaash Khuda humara dil Sheesay ka banata…
To tornay walay kay hath maain Zakham to ataa….
—– —
#10
Teri Ibtida Koi Or Hay
Teri Intiha Koi Or Hay
Teri Bat HumSe Hui To Kya
Teri Soch Mai Koi Or Hay
Hame Shouq Tha Bari Dair Se
K Tere Sharek-e-Safar Rahain
Tere Sath Chal k Khabar Hui
Tera Rasta Koi Or Hay
Kabhi Khud Se bhi To Sawal Ker
Tu Wohi Hay Ya Koi Or Hay …!
—– —
#11
Insan k Kandho pe Insan ja raha tha,
Kafan mein Lipta kuch Arman ja raha tha,
Jisko mili Bewafai Piyar mein,
Wafa ki Talash mein wo QABRASTAN ja raha tha.
—– —
#12
Suno!
Mujhe rona nhi aata.
Mujhe khona nhi aata.
K tum bin jeena mushkil hai.
Jo dard tum dena chahte ho mujhe sehna nhi ata.
Tum to reh Lo ge saath kisi aur k mgr.
Main kya krun k mujhe RASTA badalna b nhi ata.
Tum to waaqif ho Andaz.e.Guftugu k.
Mujhe to baat krne ka salika b nhi ata.
Tum to jeet jate ho Larr jhagar kr b.
Dekho mujhe to Larna b nhi ata.
Tum to khush reh lo ge mere bin.
Dekho tumhare bin to mujhe Jeena b nhi aata.
—– —
#13
Tabib milte hy par Dawa nhi milti
Dawa agr mele to Shafa nhi milti
Main sari dunya dhoond Aya ‘Kash’
Husan wale to milte hy Pr wafa nhi milti.
—– —
#14
Hum Har Roz Udaas Hotay Hain Aur
Sham Guzar Jati Hy
Kisi Roz Sham Udaas Ho Gi Aur
Hum Guzar Jayein Ge.
—– —
#15
Jo ho skay to bhula dena Ranjshen dil ki,
K mohabat ka taqaza hai Dar guzar krna,
Tery tarz-e-taghaful se kia gila,
Hamain hi nahi aata dilon Main ghar karna.
—– —
#16
Mujhe mitti k ghar bananay ka shoq tha,
Usay Aashianay giranay ka shoq tha,
Main khud se rooth jata hon aksar is liye,
Mujhe roothay huye log mananay ka shoq tha,
Usay wadon ki paasdari pasand na thi,
Lekin mujhe Ahad nibhany ka shoq tha,
Main masroof tha tanhaiyon ki talash main,
Usay logon se milny milanay ka shoq tha,
Woh bewafa thi is main Hairat ki baat kya?
Mujhe bewafa se dil laganay k shoq tha.
—– —
#17
Mehfil na sahi tanhai tu milti hai
Milan na sahi judai tu milti hai
Kon kehta hy muhabat main kuch nahi milta,
Wafa na sahi be wafai tu milti hay.
—– —
#18
Badlti ruton se ghbra kr
Ansuon se tang a kr
Ik roz meine apne sare dukh apne kamray ki diwaro se keh daley
Aur ab may soti rehti hoon or
Diwaren roti rehti hain.
—– —
#19
Koi achi si SAZA do mujhko!
Chalo aisa karo BHULLA do mujhko!
Apne DIL me basi TASVIR meri!
Aisa karo JALA do usko!
Meri WAFA pe agar SHAK hai tumko
Tu phir NAZAR se gira do mujh ko
Muddat hogai hai tere HIJR me jagte howe!
Apni sanso ki HARARAT se sula do mujhko
Kuch tu TARAS karo apne DIWANE per!
JAAM na sahi ZEHER hi pila do mujhko!
Tum se bichron tu MOUT aa jai mujhko,
Dil ki Gehrayon se aisi DUA do mujhko.
—– —
#20
Mere aansooun ko us ne barsat smja,
Meri khabon ko usne mulakat smaja,
Mera janaza jb guzra us ke gali se
Pather dil ne use bhi barat samja.
—– —
#21
Kbhi socha he nahi apni zaat k mutaliq!!!!
Kash! Soch lete to aaj hum tanha na hoty.
—– —
#22
Main kaisy maan lon mry ‘UDAAS’ angan main koi nhi hai Faraz…..!
Main rota hun to kisi k HSNAY ki saada aati hai.
—– —
#23
Nadan hain jo chahtay hain
Kisi ko zindagi ki tarha..
Nahi jantay k zindagi bhi
Tou bewafa hoti hai…
—– —
#24
Ae Chand
Aik hi jaise hain hum don’on
Aik hi jaisa Paya hai muqaddar don’on ne
Udhar aasman ki bulandiyun main tu tanha
Idhar zameen ki pastion men main tanha.
—– —
#25
Mujhe deewana samjhte hein tere sheher ke log.
Kiu mere daman se ulajhte hein tere sheher ke log.
Mein gaya waqt hoon wapis nahi anay wala.
Kiu mera rasta takte hein tere sheher ke log.
Aur kya doon mein tujhe apni wafaaon ka saboot.
Ab mere haal per hanste jein tere sheher ke log.
Mein to toota hua patta hoon meri baat hai kya?
Phool pairon se masalte hein tere sheher ke log.
—– —
#26
Bhool shayed bohot bari kar li,
Dil ne duniya se dosti kar li,
Tum mohabat ko khail kehte ho,
Hum ne barbaad zindagi kar li.
Us ne dekha bari inayat se,
Ankhon ankhon mein baat bhi kar li,
Ashiqi mein bohot zaroori hai,
Bewafayi kabhie kabhie kar li,
Hum nahi jante chiragon ne,
Kyo andheron se dosti kar li.
—– —
#27
Saleeqa ho ager bheegi hui aankhon ko parhne ka..
To behte hue aanso bhi akser baat karte hein…
—– —
#28
Mohabat ke baad mohabat mumkin hai Faraz
Magar toot ke chahna sirf aik baar hota hai…
—– —
#29
Apno ki shafqaton ne kuch aise diye fareb,
Rote rahe lipat kar her ajnabi ke saath,
Apna samjh kar jis ke liye hum ujar gaye,
Wo ja raha tha shaam kisi ajnabi ke saath.
—– —
#30
Ghamo ki jageer mujhe virasat mein mili hai FARAZ
Apne dokho mein rehta hun main nawabo ki tarah.
—– —
#31
Tumhen udaas Dekh ker,
Kisi k Rang kho Gae.
Kahin pe chand Bhujh Gya,
Kahin Sitaray so Gae.
Kahin pe Barishon ki Rutt,
Ghazb ki piyas Ban Gai.
Koi Bahar Rooth Kar,
Sarapa.e.Aas Ban Gai.
Kisi k Mosmon ko Yun,
Azaab Mat Diya karo.
Udaas mat Hua karo,
Udaas mat Hua karo.
—– —
#32
Muhabbat bhi ajeeb khel he khelon me Wasi
Jo seekh jate hain wo Bazi har jata he.
—– —
#33
Doulat na koi Taj Mahal chod jayenge
Ham apni Yadgaar Gazal chod jayenge,
Tum aaj jitna chaho sata lo,
Magar rota hua tumhe kal chod jayenge.
—– —
#34
Aisi lage udas sar-e-sham zindgi.
Jaisay kisi ki aankh ka ilzam zindgi.
Apnay jahan main dekha tere baad kuch nahi.
Ham ne laga di tere naam zindgi.
Jis k bina ye sans mujay doobti lage.
ja k use be dhond kisi sham zindagi.
Ye pyar dard na ban sake jis k nashay may.
Muj ko pila de aj wohi jaam zindgi.
Ab doston k haath mere haath may nahi.
Girnay laga hon aj, Mujay thaam zindgi.
—– —
#35
Qadam Qadam pe wafa k ujaly aur bhi thy,
Muhabbaton k hazar hawaly aur bhi thy,
Aapki to aadatain pasand aagain humko,
Warna is shehar main Dil jalany waly aur bhi thy.
—– —
#36
Itna udas shaam ka manzar kabhi na tha,
Sooraj ke sath doob gaya mera dil bhi aaj..
—– —
#37
Ek Tabassum Hazar
Shikwo’n Ka
Kitna Pyara Jawab
Hota Hy… !!!
—– —
#38
In khoye huye aansuon se aqidat mujhe bhi hai,
Teri tarah zindagi se shikayat mujhe bhi hai,
Tu agar nazuk hai to main bhi nahi paththar,
Tanhai main ro deny ki aadat mujhe bhi hai.
—– —
#39
Kitna ajeeb hein duniya walo ka andaz e mohabbat
Roz ek nya zakham lga kr kehte hein k khush rha kro.
—– —
#40
Us ny tora wo talluq jo meri zaat sy tha,
usko runj najany meri kis baat sy tha,
La-talluq raha logon ki tarah wo bhi,
jo achi tarah waqif mere halaat sy tha.
—– —
#41
”,.’.UDAAS RAAT”,.”
Badan Thakan se Choor hai,
Par Neend Hum se Door hai,
Tera Kheyal sath hai,
Bari Udaas Raat hai,
Hawa-e-Gham ka zoor hai,
Samandron ka Shor hai,
Judaiyon ki baat hai,
Bari Udas Raat hai,
Har Nazar Sharab hai,
Tere Milne ka Khuab hai,
Bari Udaas Raat Hai…
—– —
#42
Ek bar hi g bhar k saza Q nhi datey
Me harf-e-ghalat hun tou mita Q nhi datey
Moti hun tou damn-e-muzna mein pro lo
Ansu hun tou palkon sa gira Q nhi datey
Saya hun tou sath na rakhney ki waja kya?
Pather hun tou rastey sai hatta Q nhi detay?
—– —
#43
Rehty hain sath sath ,
Mai or meri tanhai,
Kartay hain raaz ki baat,
Mai or meri tanhai,
Din tou guzar he jata hai logon ki bheer mai,
Kartay hain basar raat,
Mai or meri tanhai,
Saanson ka kya bharosa kab chor jain sath,
Lakin rahain gai sath sath,
Mai or meri tanhai.
—– —
#44
Koi zindagi ki jaan tha
Najane kyun anjan tha
Koi dil k itna pas tha
Kyun k wo sub se khaas tha
Us k bagair dil udas hai
Per us ko nhi ehsas hai…
—– —
#45
Ek din zindagi esay muqaam pe pohanch jaaye gi,
Dosti tou sirf yaadon mein reh jaaye gi,
Har cup coffee yaad doston ki dilaaye gi,
Aur hansty hansty phir aankh nam ho jaaye gi,
Office ki chamber mein classroom nazar aaye gi,
Per chahne pe bhi proxy na lag paaye gi,
Paisa tou bohat hoga magar,Usay lutany ki wajah hi kho jaye gi,
Jee le khul k is pal ko mere dost,
Kyun k zindagi in palo ko phir se nhi dohraye gi,
—– —
#46
Apno ko jb apny kho daity hain
Tanhaion mai wo ro daity hain
Na jany Q palkon per bithaty hain
unko hum
Jo in palko ko aksar ansuon se bhigo
daity hain
—– —
#47
Dua hai tujhy chaton ki kami na rahy
Jo tujhy mil na saky aaisi koi khushi
na rahy
Yun intazar ko mere naseeb na banao
K jab tum aao tou mere pas zindagi na rahy
—– —
#48
Tum dil ki baten kya samjo
Tum dil ka lagana kya jano
Tum aag lagana sekh gaye
Tum aag bujhana kya jano
Ek bar agar tum roth gaye
Hum tumko mana hi lengay
Mgr ek bar agar hum roth gaye
Tum hum ko manana kya jano
kuch sath chaly kuch chor gaye
Wady jo kya wo tor gaye
Sathi tou banaty rehty ho
Tum sath nibana kya jano
—– —
#49
Sitara hamari kismat ka us se mila hi nhi
Wo kese hota humara aisa kabhi howa hi nhi
Humne apni her khushi dosron main baant di
Kisi ne humy kya diya ye socha hi nhi
Baton baton main mohabbat is qadar barh gai
Tumhain ab bhool jayain kese itna hosla hi nhi
Har kisi nai hamain matlab tak pyar kya
Koi hamsafar ban kar sath chala hi nhi
Her koi mere chahat ko mazak samajhta raha
Dil mai hai dard kitna koi samjha hi nhi
—– —
#50
Mili ho chand si surat tu itraya nhi karty
Khayalo mai is tarah kisi k aya nhi karty
Meri Udasi ka sabab pucha logo ny
Hum nai kaha hum un k bina Muskuraya nhi karty…
You can help to enrich this collection of Sad Poetry SMS by sending and submitting more messages from your collection by writing in comments section and by providing nice ideas. This is Set 4 of Sad Poetry SMS. In case of spelling mistakes, other issues report them in comments section. Share these messages on various messenger apps like whatsapp, allo, hike, telegram, skype, FB messenger and others.
Leave a Reply